samne us ke ro nahin sakta
chup rahun ye bhi ho nahin sakta
sang o aahan gudaz hote hain
us ka dil narm ho nahin sakta
aag se tifl-e-ashk darta hai
dil ke daghon ko dho nahin sakta
jis tarah so gae mire taale
us tarah koi so nahin sakta
misl-e-farhad ishq men ‘joshish’
jaan koi muft kho nahin sakta
Leave a Reply