tapte sahra men kahin koi shajar aata hai
dard par tark-e-sukunat ka asar aata hai
sadma-e-hijr se mahfuz rakhunga tujh ko
mujh ko qiston men bichhaḌne ka hunar aata hai
din guzar jaata hai ta.abir ki hasrat le kar
raat hoti hai to phir ḳhvab utar aata hai
jab se jaane hain mohabbat ke fava.ed ham ne
ek hi shaḳhs ka.i baar nazar aata hai
dard-e-furqat men tiri ankhen faqat giili huiin
meri ankhon men miyan laal color aata hai
hijr ki shab mire pahlu men raha teri tarah
vo sitara jo bahut duur nazar aata hai
koi avargi-e-shahr se bach hi na saka
ab parinda bhi kahan shaam ko ghar aata hai
mujh ko chamka ga.i ‘afaq’ baḌon ki sohbat
jaise qatre pe samundar ka asar aata hai
Leave a Reply