kabhi khud pe kabhi halat pe rona aaya
baat nikli to har ik baat pe rona aaya
ham to samjhe the ki ham bhuul gae hain un ko
kya hua aaj ye kis baat pe rona aaya
kis liye jiite hain ham kis ke liye jiite hain
barha aise savalat pe rona aaya
kaun rota hai kisi aur ki khatir ai dost
sab ko apni hi kisi baat pe rona aaya
Leave a Reply