ilahi khair jo shar vaan nahin to yaan bhi nahin
taammul is men agar vaan nahin to yaan bhi nahin
kuchh un ghar se nahin kam hamara khana-e-dil
jo aadmi ka guzar vaan nahin to yaan bhi nahin
vo jaan lete hain ham un pe jaan dete hain
nasihaton ka asar vaan nahin to yaan bhi nahin
mare mitenge ham ai dil yahi jo chashmak hai
safai madd-e-nazar vaan nahin to yaan bhi nahin
karega naaz tadapne men ham se kya bismil
kami-e-dard-e-jigar vaan nahin to yaan bhi nahin
vo tegh-zan hain to ham bhi jigar pe rokengi
jo ehtiyaj-e-sipar vaan nahin to yaan bhi nahin
vo be-khabar hain jahan se to ham hain khud-rafta
zamane ki jo khabar vaan nahin to yaan bhi nahin
khajil hain galon se un ke hamare daghon se
farogh-e-shams-o-qamar vaan nahin to yaan bhi nahin
tum aaine men ye kis naznin se kahte the
baghaur dekh kamar vaan nahin to yaan bhi nahin
shab-e-mazar se kuchh kam nahin hai sham-e-firaq
agar asir-e-sahar vaan nahin to yaan bhi nahin
vo gaali denge to bosa ‘sharaf’ main le lunga
lihaz-e-pas agar vaan nahin to yaan bhi nahin
Leave a Reply