zamin ki god men baiTha humak raha huun main
falak pe chand ki janib lapak raha huun main
nahin hai apni zamin ki koi ḳhabar lekin
ḳhala men duur kisi shai ko tak raha huun main
naha gaya huun ḳhud apne lahu men sar-ta-pa
junun ki aag men lekin dahak raha huun main
agarche zulmat-e-shab men kami nahin aa.i
misal-e-mah-e-daraḳhshan chamak raha huun main
har ek samt badalti ruton ka matam hai
shagufta ghunche ki surat chaTak raha huun main
parakhne vaale mujhe dekh is tarah bhi zara
agar hai khoT to kaise chamak raha huun main
giri hi jaati hai divar-e-girya har lahza
kisi ki aankh se shayad Dhalak raha huun main
tamam shahr ne didar kar liya ‘kausar’
ab apni laash ke chehre ko Dhak raha huun main
Leave a Reply