• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Balaen Aankhon Se Unki Mudam Lete Hain

Balaen Aankhon Se Unki Mudam Lete Hain

sheikh-ibrahim-zauq

balaen ankhon se un ki mudam lete hain

ham apne hathon ka mizhgan se kaam lete hain

ham un ki zulf se sauda jo vaam lete hain

to asl o suud vo sab daam daam lete hain

shab-e-visal ke roz-e-firaq men kya kya

nasib mujh se mire intiqam lete hain

qamar hi dagh-e-ghulami faqat nahin rakhta

vo mol aise hazaron ghulam lete hain

ham un ke zor ke qaail hain hain vahi shah-zor

jo ishq men dil-e-muztar ko thaam lete hain

qatil-e-naz batate nahin tujhe qatil

jab un se puchho ajal hi ka naam lete hain

tire asiir jo sayyad karte hain fariyad

to phir vo dam hi nahin zer-e-dam lete hain

jhukae hai sar-e-taslim mah-e-nau par vo

ghurur-e-husn se kis ka salam lete hain

tire khiram ke pairu hain jitne fitne hain

qadam sab aan ke vaqt-e-khiram lete hain

hamare haath se ai ‘zauq’ vaqt-e-mai-noshi

hazar naaz se vo ek jaam lete hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Zindagi Kya Hai Ek Manzar Hai

Ek Tamanna Hai KHamoshi Ke kaTahre Kitne

poet

Wo Man Gae to Wasl Ka Hoga Maza Nasib

Tamam-Duniya Ka laKHt-E-Jigar Bana Hua Tha

Haalat Ab to Itne Dushwar Ho Gae Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet