• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Arsa-E-KHwab Se uTh Halqa-E-Tabir Mein Aa

Arsa-E-KHwab Se uTh Halqa-E-Tabir Mein Aa

arsa-e-ḳhvab se uTh halqa-e-ta.abir men aa

gum-shuda ro.ab-e-junun kasa-e-tash.hir men aa

intiha mabda-e-hasti ki fana hai ya baqa

ghaur se dekhte hain baḳht ki tasvir men aa

ai ḳharabat-e-tanaffur ke pareshan makin

gar sukun chahta hai ishq ki ta.amir men aa

hiddat-e-did nigahon ki ibarat se nikal

aur yaḳh-basta mire rauzan-e-tahrir men aa

chaḌh ke phir sar pe mire bole asiri ka ḳhumar

qaid kar le mujhe phir zulf ki zanjir men aa

ahd-e-mazi ke ḳhush-a.ind bhaTakte lamhe

vaqt aa pahuncha hai ab haal ki jagir men aa

jal-bujhe garmi-e-anfas se donon ka vajud

gholne ḳhud ko mire qurb ki tasir men aa

lazzat-e-vasl ko hasil ho zamin ki jannat

mujh se milne ke liye vadi-e-kashmir men aa

zer-e-pa rakh ke sabhi aks-e-fusun-e-taqdir

phir javan hone ko gahvara-e-tadbir men aa

ai ḳhizan-zad agar chahta hai rizq-e-bahar

daman-e-zist liye rauza-e-shabbir men aa

ajizi kahne lagi gar ho bulandi ki talab

dil jhuka da.ira-e-na.ara-e-takbir men aa

diya ugte hue suraj ne ye paigham ‘nadim’

in andheron se nikal ḳhema-e-tanvir men aa

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mere Marne Ki Bhi Un Ko Na KHabar Di Jae

Wo Jo Viran Phira Karta Hai

poet

Fasurda dagh-E-Jigar dil-Ruba Nahin Rahta

Shahr-E-Dil Phir Mera Viran Hua Jata Hai

jaun-eliya

dil Ko duniya Ka Hai Safar darpesh

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet