ik be-sabat aks bana be-nishan gaya
main ganj-e-be-baha tha magar ra.egan gaya
bhaTka main apni zaat ki vus.at men su-ba-su
main apni justuju men karan ta karan gaya
tahrir ik aur tair ke tahlil ho ga.i
ik aur naqsh-e-lauh-e-zaman-o-makan gaya
qaa.em hue dilon ke abad-mauj rabte
ik jumbish-e-nazar men gham-e-do-jahan gaya
kya kya chhupe na sabz ridaon men regzar
kya kya na lutf-e-saḳhti-e-dasht-tapan gaya
jaadu ka tha dayar koi ya tilism-e-vahm
ye dam-zadan men shahr ka manzar kahan gaya
dar kya khule bashir ḳhala-e-basit ke
dil se hazar vasvasa-e-asman gaya
Leave a Reply