dil ko duniya ka hai safar darpesh
aur charon taraf hai ghar darpesh
hai ye aalam ajiib aur yahan
majra hai ajib-tar darpesh
do jahan se guzar gaya phir bhi
main raha khud ko umr bhar darpesh
ab main ku-e-abas shitab chalun
kai ik kaam hain udhar darpesh
us ke didar ki ummid kahan
jab ki hai diid ko nazar darpesh
ab miri jaan bach gai yaani
ek qatil ki hai sipar darpesh
kis tarah kuuch par kamar bandhun
ek rahzan ki hai kamar darpesh
khalvat-e-naz aur aina
khud-nigar ko hai khud-nigar darpesh
Leave a Reply