jab vo masrur nazar aata hai
har taraf nuur nazar aata hai
main to mai-ḳhvar huun tu kyuun saaqi
nashshe men chuur nazar aata hai
qurb se haath uThaya main ne
tu baḌi duur nazar aata hai
main hi tanha nahin dil ke hathon
tu bhi majbur nazar aata hai
ḳhaksari ko chhupane ke liye
‘vajd’ maghrur nazar aata hai
Leave a Reply