shab-e-firaq na kaaTe kaTe hai kya kiije
na sub.h ho.e hai na pau phaTe hai kya kiije
safa tha aks-e-ruḳh us ke se dil ka a.ina
ab us pe zang-e-kudurat aTe hai kya kiije
rahim-o-ram ki sumran hai shaiḳh-o-hindu ko
dil us ke naam ki raTna raTe hai kya kiije
basan har mizha par para-e-dil-majruh
har ek pal na shumurda baTe hai kya kiije
piye tha raat to kal ghair paas yaar sharab
aur aaj qasmen hi kha kha naTe hai kya kiije
ye juun juun va.ade ke din raat paḌte jaate hain
ghaḌi ghaḌi men mira ji kaTe hai kya kiije
raqib jam ke ye baiTha ki ham uThe na-char
ye patthar ab na haTa.e haTe hai kya kiije
jigar ke TukḌon se jab tak ki god bhar le aa.e
ye tifl-e-ashk to ro-ro haTe hai kya kiije
ye duḳht-e-raz koi aise luTi mile hai ‘muhib’
dil us ki taak men apna luTe hai kya kiije
Leave a Reply