dil ko darun-e-khvab ka mausam bojhal rakhta hai
ik anjane khauf se vaqif har pal rakhta hai
vo jo ba-zahir har zarra hai tez havaon men
apne hone ka ehsas mukammal rakhta hai
tark-e-taalluq ne meri bhi soch ko badla nahin
vo bhi shikayat apne saath musalsal rakhta hai
registan ka pauda huun main aur bahut sairab
apna ruup ravayya mujh par badal rakhta hai
kankar phenk rahe hain ye andaza karne ko
thahra paani kitni ‘humaira’ halchal rakhta hai
Leave a Reply