shaḳh men sabza dhuup men saaya vapas aaya
raat ko chhu kar din ka jhonka vapas aaya
lahr ne kise sada di duuri ke sahil se
kashti vapas aa.i dariya vapas aaya
buund giri thi jalte mausam ke honTon par
aankh men aansu dil men sho.ala vapas aaya
kitne dinon ke ba.ad shajar ne chhatri kholi
kitne dinon men din barish ka vapas aaya
ankhen rakh diin us ne ghar ke darvaze par
shaam hui aur ḳhali rasta vapas aaya
haath men diya liye vo chhat par vapas aa.i
us ke saath hava ka jhonka vapas aaya
khiḌki khol ke main ne use pukara ‘qaisar’
ek parinda ek sitara vapas aaya
Leave a Reply