tab-e-didar la nahin sakte
un se nazren mila nahin sakte
raz-e-dil ab chhupa nahin sakte
aur zaban par bhi la nahin sakte
dil men rahti hai ik ḳhalish paiham
jis ko ham ḳhud bata nahin sakte
jur.at-e-dil kahan kahan jalve
hosh men ham ab aa nahin sakte
dil men aise bhi chand shikve hain
jo zaban par bhi la nahin sakte
arsh-ras the kabhi yahi naale
aaj lab tak bhi aa nahin sakte
chal rahi hai hava vo gulshan men
ashiyan tak bana nahin sakte
maslahat kuchh to hai ‘munir’ is men
varna kya ḳhud vo aa nahin sakte
Leave a Reply