bas ek raat mire ghar men chand utra tha
phir is ke baad vahi main vahi andhera tha
saba ka narm sa jhonka tha ya bagula tha
vo kya tha jis ne mujhe muddaton rulaya tha
ajab uThan liye tha vo ghairat-e-shamshad
tabah-hal dilon ka kahan Thikana tha
andheri shaam thi badal baras na paa.e the
vo mere paas na tha aur main khul ke roya tha
zamin men dafn mujhe kar gaya hai jite-ji
to kya main us ke liye qimti ḳhazina tha
jhulas jhulas ke main anjam-kar Duub gaya
vo tha sarab magar paniyon sa gahra tha
nishan kahin bhi na the us ki ungliyon ke magar
main ghar ki dekh ke ek ek chiiz roya tha
jale to saath jalengi ye jhaḌiyan ‘iz.har’
kisi ke shahr men to dard yuun na baTta tha
Leave a Reply