
Poet
baaḌh aa.i gaanv ko dariya baha kar le gaya
ek pyasa dusre pyase ko aa kar le gaya
ruuh men sadiyon ka sannaTa basa kar le gaya
main jo arz-e-shahr se sahra uTha kar le gaya
zehn ki almariyon men dhuul si uḌne lagi
koi alfaz-o-ma.ani sab chura kar le gaya
rah gaya qaa.em phir us ki pak-bazi ka bharam
phir vo ik shaitan se ḳhud ko bacha kar le gaya
pahle ki manind lutf-e-abla-pa.i nahin
kaun meri raah ke kanTe uTha kar le gaya
kauḌiyon ke mol ‘tahir’ bik ga.i jins-e-hunar
mal-e-muflis har koi qimat ghaTa kar le gaya

Leave a Reply