lab-e-ḳhamosh mujhe aah aah karne de
gunah ishq sahi ye gunah karne de
tu kamyab nigahon ko sharmsar na kar
isi tarah sitam-e-be-panah karne de
abhi se dars-e-haqiqat zara Thahar vaa.iz
ḳhirad ko aur ḳharab-e-nigah karne de
na rat-din ki ḳhabar hai na aj-kal ka pata
kisi qarar-shikan se nibah karne de
na.i kaman hai na.i mashq hai na rok nigah
harim-e-dil ko mukammal tabah karne de
kahan tiri shab-e-gesu kahan miri shab-e-hijr
muqabla bhi nasib-e-siyah karne de
na rind huun na shari.at se zid mujhe ‘talib’
koi bala se kare ishtibah karne de
Leave a Reply