un se iz.har-e-shikayat karun ya na karun
lab pe larzan si hai ik baat karun ya na karun
khinch laa.e na kahin phir ye mohabbat ki kashish
jur.at-e-tark-e-mulaqat karun ya na karun
meri ḳhamoshi-e-paiham ka unhen shikva hai
zikr-e-be-dardi-e-halat karun ya na karun
hai gham-e-hal men insan pareshan-ḳhatir
fikr-e-farda ki koi baat karun ya na karun
Leave a Reply