• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ghamon Se Rishta Hai Apna Bhi Dosti Ki Tarah

Ghamon Se Rishta Hai Apna Bhi Dosti Ki Tarah

poet

ghamon se rishta hai apna bhi dosti ki tarah

mile hain ashk bhi ham ko yahan hansi ki tarah

karam ki zahmat-e-be-ja ka shukriya lekin

tumhare dard ko chaha hai zindagi ki tarah

main apna dard liye ab kahan kahan ja.un

mujhe rafiq bhi milte hain ajnabi ki tarah

sharif log bhi hote hain maslahat ka shikar

ujale aaj bhi milte hain tirgi ki tarah

ye kis ne sham.en jala.i hain apni yadon ki

andhere ghar men hai ye kaun raushni ki tarah

kisi ḳhayal men akasr shagufta rahta huun

koi ḳhayal hai phulon ki tazgi ki tarah

ye aur baat ki ab main ‘ra.is’-e-mahfil huun

gharib-e-shahr kabhi tha men aap hi ki tarah

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

peD Sukha Harf Ka Aur faKHtaen Mar Gain

Aaankhon Mein Sitare Se Chamakte Rahe Ta-Der

ahmad-adil

dastur Tha Jo Gham Ka Purana Badal Gaya

Ye Aankh Bhi Ye KHwab Bhi Ye Raat Usi Ki

poet

Wahshat Ko Sana Chhupae Rakhna

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet