lākhoñ kī bhiiḌ meñ bhī koī ham-nafas na ho
allāh terī ḳhalq kā matlab qafas na ho
rañg-e-jamāl-e-ishq se kūñachī bharī ho par
tasvīr khīñchne ke liye canvas na ho
kahiye ki kaise dil lage aisī jagah jahāñ
bāteñ to be-hisāb hoñ bātoñ meñ ras na ho
maiñ ishq kar rahā huuñ magar sochtā bhī huuñ
pichhle baras jo ho chukā ab ke baras na ho
hairat hai ek umr kī bārish ke bāvajūd
āñkhoñ meñ koī shakl hai jo Tas se mas na ho
‘mishrā’ jī aise shaḳhs se rahte haiñ dūr-dūr
jis meñ ki rañg-e-ishq ho rañg-e-havas na ho