• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dil Kushta-E-Nazar Hai Mahrum-E-Guftugu Hun

Dil Kushta-E-Nazar Hai Mahrum-E-Guftugu Hun

dil kushta-e-nazar hai mahrum-e-guftugu huun

samjho mire ishare main surma-dar-gulu huun

muddat se kho gaya huun sargarm-e-justuju huun

apna hi mudda.a huun apni hi aarzu huun

surat-e-saval huun main puchho na mera matlab

main apne mudda.a ki tasvir hu-ba-hu huun

hai dil men josh-e-hasrat rukte nahin hain aansu

risti hui surahi TuuTa hua subu huun

zaḳhmon se dil ka aalam kya puchhte ho kya hai

gulzar-e-be-ḳhizan huun duniya-e-rang-o-bu huun

jalve hijab-afgan ankhen halak-hasrat

to mahv-e-parda-dari men vaqf-e-justuju huun

pamal yuun hua huun pinhan hai mujh men aalam

ek musht-e-ḳhak ho kar sahra-e-arzu huun

ruḳh se kafan haTa do kya puchhte hain puchhen

parde men ḳhamushi ke sargarm-e-guftugu huun

kis se ‘aziz’ rakkhun ummid dosti ki

sarkash hai nafs jab tak apna hi main adu huun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

baiTha Hun Waqf-E-Matam-E-Hasti miTa Hua

sahir-ludhianvi

Naghma-O-Sher Ki Saughat Kise Pesh Karun

Baaton Mein DhunDte Hain Wo Pahlu Malal Ka

Kasa-E-Fikr Mein Rakhta Hun Main Daulat Apni

Maut Han Bar-Haq Hai Lekin Zindagi Fani Kahan

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet