koi ehsas mukammal nahin rahne deta
dard ka saath musalsal nahin rahne deta
hosh ki sard nigahon se take jaata hai
kaun hai jo mujhe pagal nahin rahne deta
vaqt tufan-e-bala-khez ke gardab men hai
sar pe mere mira anchal nahin rahne deta
haath phailaun to chhu leta hai jhonke ki tarah
ek pal bhi mujhe be-kal nahin rahne deta
khvab ke taaq pe rakkhi hain ye ankhen kab se
vo miri niind mukammal nahin rahne deta
mere is shahr men ik aaina aisa hai ki jo
mujh ko us shakhs se ojhal nahin rahne deta
Leave a Reply