ajiib log haiñ gul karke zindagī ke charāġh
jalā.e baiThe haiñ apne gharoñ meñ ghī ke charāġh
bhaTak rahe haiñ añdheroñ meñ mehr-o-māh-o-nujūm
har ek samt farozāñ haiñ tīrgī ke charāġh
nazar nazar meñ diye hasratoñ ke larzāñ haiñ
qadam qadam pe haiñ raqsāñ fasurdagī ke charāġh
chaman meñ zāġh-o-zaġhan kī bapā vo shorish hai
ki chhin ga.e haiñ anādil se naġhmagī ke charāġh
bhaḌak uThī hai diloñ meñ vo ātish-e-nafrat
ki jal uThe haiñ laboñ tak pe tishnagī ke charāġh
ye soch leñ ki uḌaa.e hañsī na bād-e-ḳhizāñ
kareñ na ahl-e-chaman gul shaguftagī ke charāġh
unhīñ ke ghar meñ añdherā hai ḳhuun se jin ke
faroġh-kash haiñ shabistān-e-ḳhvājgī ke charāġh
muhīt ḳhāna-e-jāñ par hai abr-e-mahrūmī
jalāo ḳhūn-e-tamannā se zindagī ke charāġh
uThī haiñ āñdhiyāñ iblīsiyat kī vo ‘at.har’
laraz rahe haiñ ḳhudā.ī meñ bandagī ke charāġh