phir aan ke ishrat ka macha dhang zamin par
aur aish ne arsa hai kiya tang zamin par
har dil ko khushi ka hua ahang zamin par
hota hai kahin raag kahin rang zamin par
bajte hain kahin taal kahin zang zamin par
holi ne machaya hai ajab rang zamin par
ghungru ki padi aan ke phir kaan men jhankar
sarangi hui biin tamburon ki madad-gar
tablon ke thuke tabl ye sazon ke baje taar
ragon ke kahin ghul kahin nachon ke bandhe taar
dholak kahin jhankare hai mirdang zamin par
holi ne machaya hai ajab rang zamin par
masti men utha aankh jidhar dekho ahaha
nache hai tavaif kahin matke hai bhavayya
chalte hain kahin jaam kahin svang ka charcha
o rang ko galiyon men jo dekho to har ik ja
bahti hain umand kar jaman-o-gang zamin par
holi ne machaya hai ajab rang zamin par
bhage hai kahin rang kisi par jo koi daal
vo potli maare hai use daud ke filhal
ye taang ghasite hai to vo khinche pakad baal
vo haath marode to ye tode hai khada gaal
is dhab ke har ik ja pe mache dhang zamin par
holi ne machaya hai ajab rang zamin par
baithe hain sab aapas men nahin ek bhi kadva
pichkari utha kar koi jhamkave hai khadva
bharte hain kahin mushk kahin rang ka gadva
kya shaad vo hota hai jise kahte hain bhadva
sunne men yahan tak nahin ab nang zamin par
holi ne machaya hai ajab rang zamin par
holi ki ‘nazir’ ab jo baharen hain ahaha
mahbub rangilon ki qataren hain ahaha
kapdon pe jami rang ki dharen hain ahaha
sab holi hai holi hi pukare hain ahaha
kya aish hai kya rang hai kya dhang zamin par
holi ne machaya hai ajab rang zamin par
Leave a Reply