kinar-e-sham kya jalne laga hai
har ik bujhta diya jalne laga hai
tira baḳhsha hua ik zaḳhm pyare
chali ThanDi hava jalne laga hai
kisi ke aks men thi aisi hiddat
tapish se a.ina jalne laga hai
sitara sa koi aage ravan hai
ki mera rasta jalne laga hai
Leave a Reply