kahan ye chand raton ka asar hai
zamane par zamanon ka asar hai
akele baiTh kar yuun muskurana
ye hathon men kitabon ka asar hai
mukammal ho raha hai ishq mera
iradon se vafaon ka asar hai
mohabbat gunjti rahti hai mujh men
ye barson ki ḳhalaon ka asar hai
sifat jitni bhi mujh ko hai ata vo
tumhare saath baton ka asar hai
jahan tak dekhti huun tum hi tum ho
tasavvur par sarabon ka asar hai
parindon se saba se ḳhushbuon se
muta.assir huun ḳharabon ka asar hai
achanak nim-shab vo yaad aa.e
numayan do sitaron ka asar hai
vasuq itna savalon men hamare
tumhare kuchh javabon ka asar hai
Leave a Reply