Waqt Ke Daman Se Dagh-E-Tirgi Dho Jaenge

vaqt ke dāman se dāġh-e-tīrgī dho jā.eñge

dard kā sūraj zamīn-e-shab meñ ham bo jā.eñge

aaj rone kī jagah par jin ko aatī hai hañsī

kal vahī hañsne ke mauqe par lahū ro jā.eñge

kuchh na kuchh tuutī kī bhī sunte agar ye jānte

ek din naqqār-ḳhāne be-sadā ho jā.eñge

raat kī rañgīniyāñ muñh dekhtī rah jā.eñgī

ham thakan se chuur nañge farsh par so jā.eñge

kis ne sochā thā ye ‘māhir’ justujū ke josh meñ

jañgaloñ meñ vāpsī ke rāste ho jā.eñge

Leave a Comment