raaz men rakkhenge ham teri qasam ai naseh
le nikal ab vahi ganje ki chilam ai naseh
ab ḳhuda ke liye rakh ham pe karam ai naseh
hain pareshan tiri bakvas se ham ai naseh
jhurriyan ruḳh ki jo paigham-e-qaza laa.i hain
kab talak jaoge tum su-e-adam ai naseh
bada-noshon ko na samjhane ki koshish karna
varna phir hoga tira naak men dam ai naseh
ba.ad muddat ke mila hai to chala-chal mire saath
mai-kada yaan se hai bas chaar qadam ai naseh
puchh le biiti hai kya rindon ke hathon in par
ye jo hain tere chacha shaiḳh-e-haram ai naseh
kya hua ḳhair to hai kaisi musibat aa.i
kis ne maara tujhe kyuun aankh hai nam ai naseh
bhuul kar bhi kabhi munh un ke na lagna nadan
kuchh ḳhabar hai baḌe beDhab hain ni.am ai naseh
tujh ko bhi ishq-e-butan ka maza kuchh ho ma.alum
tere palle hon agar dam-o-diram ai naseh
tu hai kya saara jahan ḳhauf se kaanp uThta hai
‘shauq’ uThate hain jo shamshir-e-qalam ai naseh
Leave a Reply