ye kya shikva ki vo apna nahin hai
mohabbat ḳhuun ka rishta nahin hai
jo main ne kah diya ho kar rahega
mira mashrab gham-e-farda nahin hai
bahut pahle main us ko paḌh chuka huun
meri qismat men jo likkha nahin hai
ghaTa rahta hai dil men kuchh dhuan sa
ye badal aaj tak barsa nahin hai
javani jitne munh utni hi baten
mohabbat aaj bhi rusva nahin hai
vafa men rahaten kya DhunDte ho
vafa divar hai saaya nahin hai
ye baat ahl-e-nazar kab jante hain
akela to hai dil tanha nahin hai
sahi apne na ban paa.e kisi ke
koi apna na ho aisa nahin hai
mizaj-e-yar se nalan ho ‘anjum’
tumhen shayad ghazal kahna nahin hai
Leave a Reply