sitara ho ki aansu bas chamak hai
laga le shart mujh se jis ko shak hai
kahan tak aap ko jaana hai kahiye
nazar ka rasta to dil talak hai
talatum ḳhez kar de un ki dhaḌkan
miri chuḌi men aisi bhi khanak hai
mohabbat se use mansub mat kar
mire lahje men jo thoḌi lachak hai
main itni duur bhi tum se nahin huun
hamare darmiyan kuchh hai to shak hai
Leave a Reply