• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kabhi to Dosto Apne Watan Ki Baat Karen

Kabhi to Dosto Apne Watan Ki Baat Karen

kabhi to dosto apne vatan ki baat karen

kabhi to chak-e-dil-o-pairahan ki baat karen

ḳhirad ki bazm men divane-pan ki baat karen

hikayaton men kisi sim-tan ki baat karen

gulon ke samne kya fikr-o-fan ki baat karen

ye saada log hain un se chaman ki baat karen

ḳhayal-e-yar salamat hazar bazm-e-tarab

ghazal ke naam pe gul-pairahan ki baat karen

masham-e-jan men vo gesu mahakte jaate hain

kisi ḳhutan ki na mushk-e-ḳhutan ki baat karen

nigah-e-fitna hai ek ik ada qayamat hai

vo laakh ban ke baḌe bholpan ki baat karen

bhali si baat azizon pe baar hoti hai

dayar-e-ghair men kaise vatan ki baat karen

shanasa chehre yahan ajnabi se lagte hain

hon ahl-e-zauq to ahl-e-suḳhan ki baat karen

jahan pe qatl ho urdu zaban nafasat se

chalo kuchh aaj usi anjuman ki baat karen

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

dikhlae Khuda Us Sitam-Ijad Ki Surat

Phailta Jata Hai Nafrat Ka Dhuan Ishq Karo

Aankhen Raushan Lahje Ras Ke Pyale Ji

Dasht-O-Sahra Mein Samundar Mein Safar Hai Mera

Tairega Faza Mein Jo Samundar Na Milega

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet