is qadar bhi to miri jaan na tarsaya kar
mil ke tanha tu gale se kabhi lag jaaya kar
dekh kar ham ko na parde men tu chhup jaaya kar
ham to apne hain miyan ghair se sharmaya kar
ye buri ḳhu hai dila tujh men ḳhuda ki saugand
dekh us but ko tu hairan na rah jaaya kar
haath mera bhi jo pahuncha to main samjhunga ḳhuub
ye anguTha tu kisi aur ko dikhlaya kar
gar tu aata nahin hai alam-e-bedari men
ḳhvab men tu kabhi ai rahat-e-jan aaya kar
ai saba auron ki turbat pe gul-afshani chand
janib-e-gor-e-ghariban bhi kabhi aaya kar
ham bhi ai jan-e-man itne to nahin nakara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaya kar
tujh ko kha ja.ega ai ‘mus.hafi’ ye gham ik roz
dil ke jaane ka tu itna bhi na gham khaya kar
Leave a Reply