kuchh to tanhai ki raton men sahara hota
tum na hote na sahi zikr tumhara hota
tark-e-duniya ka ye daava hai fuzul ai zahid
bar-e-hasti to zara sar se utara hota
vo agar aa na sake maut hi aai hoti
hijr men koi to gham-khvar hamara hota
zindagi kitni masarrat se guzarti ya rab
aish ki tarah agar gham bhi gavara hota
azmat-e-girya ko kotah-nazar kya samjhen
ashk agar ashk na hota to sitara hota
lab-e-zahid pe hai afsana-e-hur-e-jannat
kaash is vaqt mira anjuman-ara hota
gham-e-ulfat jo na milta gham-e-hasti milta
kisi surat to zamane men guzara hota
kis ko fursat thi zamane ke sitam sahne ki
gar na us shokh ki ankhon ka ishara hota
koi hamdard zamane men na paaya ‘akhtar’
dil ko hasrat hi rahi koi hamara hota
Leave a Reply