• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Faeda Hum Ko miTane Se Bhala Kya Nikla

Faeda Hum Ko miTane Se Bhala Kya Nikla

fa.eda ham ko miTane se bhala kya nikla

sar se sauda na gaya dil se na jazba nikla

be-maza aise hue talḳhi-e-halat se ham

shahd ka za.iqa chakkha to vo kaḌva nikla

dost jitne the vo sab ho ga.e aapas men harif

kaisi mahfil thi jo nikla vo akela nikla

dil ke har TukḌe men mahfuz raha aks tira

aa.ina TuuT ke bhi a.ina-ḳhana nikla

sar-e-rahe na sahi haan sar-e-maqtal hi sahi

gham se milne ka chalo kuchh to bahana nikla

qahqahon ka jo samundar tha har ik mahfil men

ghar men vo shaḳhs udasi ka jazira nikla

chashm-e-ahbab bhi nichi hai to main bhi nadim

jis kuen men mujhe phenka tha vo andha nikla

hal-e-dil ḳhud hi kaha ḳhud hi suna hai ‘saghar’

har muḳhatab miri taqdir se bahra nikla

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Numu Ke Faiz Se Rang-E-Chaman Nikhar Sa Gaya

abdul-majeed-salik

Jo Musht-e-Khak Ho Us Khak-dan Ki Baat Karo

Nind to Main Kama Ke Lata Hun

gulzar

Ped Ke Patton Mein Halchal Hai Khabar-dar Se Hain

Din kaT Rahe Hain Kashmakash-E-Rozgar Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet