a.ina-dil dagh-e-tamanna ke liye tha
siine ka sadaf ik dur-e-yakta ke liye tha
jo tairne vaale the vo manjdhar se guzre
dariya ka kinara kaf-e-dariya ke liye tha
kyuun haath men tere mujhe patthar nazar aaya
divana agar tha to main duniya ke liye tha
guzra na tire ba.ad koi kucha-e-dil se
ye rasta ik naqsh-e-kaf-e-pa ke liye tha
divar se rukta nahin divar ka saaya
zabt-e-gham-e-mazi gham-e-farda ke liye tha
koi nahin mahfuz yahan dast-e-havas se
yusuf ka jo daman tha zuleḳha ke liye tha
be-parda chamakta hai jo ab mahfil-e-shab men
vo chand ‘samad’ kal yad-e-baiza ke liye tha
Leave a Reply