ḳhirad ke raste men ek moḌ aisa bhi aaya tha
jahan har aadmi insan na tha insan ka saaya tha
musibat ne hamen ek a.ina-ḳhana dikhaya tha
ki jis men muḳhlison ka ek ik chehra paraya tha
miTa.i thi jinhon ne la.anat-e-dar-o-rasan pahle
unhi ko yaar logon ne salibon par chaḌhaya tha
zamana kapkapata tha tumhari sard-mehri se
dilon ko tapne suraj ghamon ki dhuup laaya tha
vo divar-e-shikasta aaj tak phirti hai ankhon men
ki jis ko thaam kar ham ne bhi ik ehsan uThaya tha
kisi ne bhi na dekha jal raha tha ashiyan kis ka
dhuan kuchh is qadar gulshan ke aivanon pe chhaya tha
ka.i pyase talash-e-ab men sahra men aa.e the
vahi manzar dobara zehn ke ḳhvabon men aaya tha
azal se be-sada tha band tha jo saz-e-hasti men
tumhen bhi yaad hoga ham ne vo naghma sunaya tha
gham aḳhir gham hai ‘ashraf’ be-niyam-e-charasazi hai
tabassum ka bhi logon ne suna hai zahr khaya tha
Leave a Reply