vo gum hue hain musafir rah-e-tamanna men
ki gard bhi nahin ab aarzu ke sahra men
hai kaun jalva-sara bam-e-afrinash par
utar ga.e hain sitare se chashm-e-bina men
mili thi jis ko numu dard ki salibon se
vo lams bhi nahin baaqi mire masiha men
kashid jin se hui thi na.e zamanon ki
vo mai-kade bhi hue gharq mauj-e-sahba men
uTha liya tha jinhen gham ne shahr-e-matam se
vo harf likkhe ga.e hain ḳhat-e-shakeba men
diya shu.ur ujalon ka sub.h-e-mariyam ko
charagh kis ne jalaya shab-e-kalisa men
uTha hai ab ke vo tufan javar-e-sahil se
ki mauj bhi nahin mahfuz qa.ar-e-dariya men
jo le ga.iin mire yusuf ko bab-e-zindan tak
vo chahaten bhi nahin daman-e-zuleḳha men
vo zaḳhm jin se mila dard ashna.i ka
nahin hain vo bhi ‘samad’ ab mire sarapa men
Leave a Reply