Murgh Zirak Aql Ka Hai Ishq Ka Sayyaad shoKH

murġh zīrak aql kā hai ishq kā sayyād shoḳh

aql hai bisyār shīrīñ ishq kā farhād shoḳh

aql apne daam meñ kartā hai kul aalam ko qaid

band aur zanjīr suuñ nit ishq hai āzād shoḳh

aql būjhā āshiqāñ sab vājibuttāzīr haiñ

qātil-e-aql-o-fahm hai ishq kā jallād shoḳh

aql ko sab mulk meñ hai daad insāf-o-adal

kyā nihāyat ishq kā hai bādshah be-dād shoḳh

fahm aur fikrat meñ apnī aql gar faulād hai

aab kartā hai galā kar ishq kā haddād shoḳh

aql ke mīzāñ meñ aayā bahr aur bar kā hisāb

nahiñ magar aayā adad meñ ishq kā ta.adād shoḳh

aql suuñ jaane guzar tab āshiqāñ paate haiñ vasl

ai ‘alīmullāh’ ajab hai ishq kā irshād shoḳh

Leave a Comment