kabhi khvahish na hui anjuman-arai ki
koi karta hai hifazat miri tanhai ki
main to gum apne nashe men tha mujhe kya maalum
kis ne munh pher liya kis ne pazirai ki
vo taghaful bhi na tha aur tavajjoh bhi na thi
kabhi toka na kabhi hausla-afzai ki
hichkiyan sham-e-shafaq-tab ki thamti hi na thiin
ab bhi ruk ruk ke sada aati hai shahnai ki
ham se pahle bhi sukhnavar hue kaise kaise
ham ne bhi thodi bahut qafiya-paimai ki
Leave a Reply