zara si baat par naraz hona ranjishen karna
mohabbat men use aata nahin gunjaishen karna
miri beti ne mujh ko dekh kar sikha hai barson men
purana aina rakh kar nai araishen karna
miri almariyon men qimti saman kaafi tha
magar achchha laga us se kai farmaishen karna
mujhe bachchon ki ankhon men vo saare rang milte hain
jinhen chhune se aae zindagi ki khvahishen karna
‘humaira’ dhyan rakhna dubte suraj ki aahat ka
sada chadhti utarti dhuup ki paimaishen karna
Leave a Reply