us ke kuche men bahut rahte hain divane pade
un men dekha to miyan-‘rangin’ na pahchane pade
main safar men huun aur us ko ghair bahkate hain vaan
mujh ko ab kaghaz ke ghode yaan se daudne pade
saqiya teri nigah-e-naz ke baais se dekh
jaam o khum aundhe hain aur talpat hain paimane pade
doston ke kahne sunne se mujhe majbur ho
zakhm-e-dil jarrah ko ai vaae dikhlane pade
ab ghazal ik aur ‘rangin’ tu badal kar likh radif
qafiya phir ye mukarrar tujh ko kah jaane pade
Leave a Reply