aadat ban jaati hai jab avaragardi
rahne deti hai ghar kab avaragardi
pahle apne shahr ke saare raste samjho
shauq se khul ke karna tab avaragardi
kitni sub.hen ujlat men mar jaati hain
karte hain jab main aur shab avaragardi
dar dar ghuum raha huun main ik muddat se
ḳhatm kisi surat ho rab avaragardi
ik main hi huun ‘yasir’ jo badnam hua
vaise to karte hain sab avaragardi
Leave a Reply