• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kawish-E-Besh-O-Kam Ki Baat Na Kar

Kawish-E-Besh-O-Kam Ki Baat Na Kar

kavish-e-besh-o-kam ki baat na kar

chhoḌ dam-o-diram ki baat na kar

dekh kya kar rahe hain ahl-e-zamin

asman ke sitam ki baat na kar

apni ah-o-fughan ke soz ko dekh

saaz ke zer-o-bam ki baat na kar

yuun bhi tufan-e-gham hazaron hain

ishq ki chashm-e-nam ki baat na kar

saḳht uljhi hain ziist ki rahen

zulf ke pech-o-ḳham ki baat na kar

aaj sud-o-ziyan ka sauda hai

aaj dair-o-haram ki baat na kar

dekh farhad ki tunuk-noshi

vus.at-e-jam-e-jam ki baat na kar

ham ne dekha hai zarf-e-ahl-e-karam

ham se ahl-e-karam ki baat na kar

shab ki ranginiyon ka zikr na chheḌ

halat-e-sub.h-dam ki baat na kar

aaj mat chheḌ gham ke afsane

aaj ai dost gham ki baat na kar

chhin na jaa.e tira tabassum-e-lab

mere dard-o-alam ki baat na kar

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mujhi Se Puchh Raha Tha Mera Pata Koi

abul-hasanat-haqqi

Har Shakh Pe Thi Wafa Ki Qindil

Kisi KHamosh Chehre Par Wo Itminan Ka Manzar

Hum Nahin Ahd-E-Mulaqat Se Talne Wale

Sufi

Wo Jo Har Rah Ke Har Mod Par Mil Jata Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet