gar banana hai mohabbat ka koi ghar sahab
dastaken dijiye logon ke dilon par sahab
jitni baḌhti ga.iin tanha.iyan jism-o-jan ki
gahra hota gaya ankhon ka samundar sahab
duur tak us ko bichhaḌte hue ham dekh saken
rok lo aansu ki dhundla.e na manzar sahab
shahr jaadu ka hai chalte raho bas chalte raho
muḌ ke dekhoge to ho jaoge patthar sahab
koi paani bhari thali mire aage rakh de
ḳhvahishen ho ga.iin ab chand barabar sahab
Leave a Reply