ziyada sochne vaale tujhe pata nahin hai
jo tujh ko siine lagata hai vo tira nahin hai
vahan pe ham bhi hain maujud DhunDne vaali
so tere dil men akela tira ḳhuda nahin hai
tumhen pata hai ki tum kis liye hue ho zalil
tumhare paas koi apna nazriya nahin hai
hain bad-dimagh miri tarah mere saare dost
koi bhi duniya ke baare men sochta nahin hai
ai laḌki tujh ko bhala mujh men kya nazar aaya
‘vaqar’ ḳham-sifat tere kaam ka nahin hai
Leave a Reply