dard ki dhuup se chehre ko nikhar jaana tha
aa.ina dekhne vaale tujhe mar jaana tha
raah men aise nuqush-e-kaf-e-pa bhi aa.e
main ne danista jinhen gard-e-safar jaana tha
vahm-o-idrak ke har moḌ pe socha main ne
tu kahan hai mire hamrah agar jaana tha
agahi zaḳhm-e-nazara na bani thi jab tak
main ne har shaḳhs ko mahbub-e-nazar jaana tha
qurbaten ret ki divar hain gir sakti hain
mujh ko ḳhud apne hi saa.e men Thahar jaana tha
tu ki vo tez hava jis ki tamanna be-sud
main ki vo ḳhaak jise ḳhud hi bikhar jaana tha
aankh viran sahi phir bhi andheron ko ‘nasir’
raushni ban ke mire dil men utar jaana tha
Leave a Reply