rasta bhuul gaya ek sitara apna
chand ne band kiya jab se daricha apna
roz a.ina dikhati hai zamane bhar ko
zindagi dekh le tu bhi kabhi chehra apna
aks tera kabhi ojhal ho agar manzar se
a.ina DhunDhta rah jaa.e ujala apna
sochta huun tiri tasvir dikha duun us ko
raushni ne kabhi saaya nahin dekha apna
ye sulagta hua sahra hai nishani us ki
rasta bhuul gaya tha koi dariya apna
Leave a Reply