• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Masala Ye Bhi Ba-Faiz-E-Ishq Aasan Ho Gaya

Masala Ye Bhi Ba-Faiz-E-Ishq Aasan Ho Gaya

poet

mas.ala ye bhi ba-faiz-e-ishq asan ho gaya

ziist ko andaza-e-gham-ha-e-dauran ho gaya

dil men jab ehsas ka sho.ala farozan ho gaya

nuur afshan har charagh-e-bazm-e-imkan ho gaya

tere lahrate hi ai jan-e-tarab ruh-e-nashat

zindagi raqsan hui aalam ghazal-ḳhvan ho gaya

is tarah meri bahar-e-zindagi ruḳhsat hui

dil ujaḌ kar rah gaya aghosh viran ho gaya

ho ga.i jab zaḳhma-zan dard-e-mohabbat ki ḳhalish

har nafas ik naghma-e-saz-e-rag-e-jan ho gaya

anjum-afshan ho ga.i jab meri chashm-e-ashk-bar

dard ki tiira fazaon men charaghan ho gaya

jis ke a.ine men lakhon rang the jalva-fagan

ḳhvab sa vo lamha-e-aish-e-faravan ho gaya

main ne har but ki parastish ki kuchh is andaz se

kufr mera la.eq-e-arbab-e-iman ho gaya

aah muztar ab vo jalve hain na vo ra.ana.iyan

har nazara saya-e-umr-e-gurezan ho gaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Fikr-E-Sud-O-Ziyan Mein Rahna Hai

Yahan Se Chalenge Wahan Se Chalenge

Usne Dekha Jo Mujhe Aalam-E-Hairani Mein

Kis Par Poshida Aur Kis Pe Ayan Hona Tha

Is Baat Ka Malal Nahin Hai Ki Dil Gaya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet