main nazar se ek andaz-e-nazar hota hua
kaun hai din raat mujh men be-ḳhabar hota hua
khulta jaata hai samundar badban-dar-badban
main safar karta hua mujh se safar hota hua
ek vus.at asman-dar-asman baḌhti hui
ik parinda bal-o-par men tar-ba-tar hota hua
ek pahna.i makan se la-makan hoti hui
ek lamha muḳhtasar se muḳhtasar hota hua
ek angḌa.i se saare shahr ko niind aa ga.i
ye tamasha main ne dekha baam par hota hua
khinch li kis ne tanab-e-ḳhema-e-sidq-o-safa
kaun hai is dasht-e-gham men be-hunar hota hua
Leave a Reply