be-dili vo hai ki marne ki tamanna bhi nahin
aur ji len kisi ummid pe aisa bhi nahin
na koi sar ko hai sauda na koi sang se laag
koi puchhe to kuchh aisa gham-e-duniya bhi nahin
vaqt vo hai ki jabin le ke karo dar ki talash
ajab ashufta-sari hai ki tamasha bhi nahin
apne a.ine men ḳhud apni hi surat hui masḳh
magar is TuuTe hue dil ka mudava bhi nahin
hu ka aalam hai koi nara-e-mastana-e-haq
kya tiri bazm-e-vafa men koi itna bhi nahin
lafz-o-ma.ani men nahin rabt magar haa.e umiid
is pe baiThe hain ki vo Talne vaala bhi nahin
be-ḳhudi haa.e tamanna ki na thi fursat-e-vahm
be-kasi haa.e tamasha ki koi tha bhi nahin
phuul ban kar jo mahakta tha kabhi dil ke qarib
ḳhaar ban kar kabhi pahlu men khaTakta bhi nahin
tum bhi kahlate ho daman-kash-e-duniya ‘baqar’
sach to ye hai tumhen jiine ka saliqa bhi nahin
Leave a Reply